Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2018

Karachi alag sooba fear or hope

Karachi city of lights, gareeboon ki maa mini pakistan economy hub jitne naam diye jayen is shehar ko kam hain magar afsoos yeh shehar siyasat ki nazar hogaya humare hukmaranoo ne hamesha is sone k ande dene wali murghi ko pinjre mai qaid ker k rakha na kuch khaane ko diya balke jo is ka apna khaana hai woh bhi kha gaye aaj yeh shehar koore karkat ka dhair ghalazat na bijli na paani har koii yahan akar tera mera kerta hai magar koi apna nahi samjhta karachi ko alag sooba bana diya jaye tu is pe sindh hukumat nahi maanti q k kahin yeh taraqi na ker jaye ik hi road ko baar baar tor k dubara banana china cutting bhata target killing bas yehi mila hamesha karachi koo chaloo maan lete hain rangers ne bht kaam kia karachi k liye ab aman hai roz loog nahaq qatal nahi hote magar sukoon tu phir bhi nahi hukumti alam tu dekhye darakht bhi woh lagaye jo oxygen khenchte hain aur carbon di oxide release karte hain sab se bara shehar aur koi transport ka zariya nahiii q k yahan rikshaw mafia hai tax...

Garmi garmi garmi ... khi waloo

Ramzan ki amad barhti hui garmi uppar se k electric ki meherbanian karachi waloo na ya tu sabar karna seekh liya hai ya phir hukumat ne sabar ka najaiz faida uthana agar phir se woi k electric k khilaaf muzahire road band jalaoo ghairaooo shuroo hojaye ga tu inki akal thikaane ajaegiiii .... yeh chahte hi nahi karachi wale pursukoon zindagi guzarain ..... khair heat stroke k chances bht zaida hain khaas kar bizrg hazraat aur chothi age k bachoon main tu kuch cheezoon pe amal kar k heat stroke se bacha ja sakta hai apne saath koi geela kapra rakhain wuzu ki halat mai rahain kehte hain piyaaz(onion) rakhne se bhi garmi se bacha ja sakta hai is k peeche kia logic hai yeh tu nahi pata mujhe lakin phir bhi ehtiat ijaad ki maa hai tu rakhne mai kia ja raha .... sehri mai zada paani peene ka koi faida nahi kion k aap oont (camel) tu hai nahi is k bajae dahai (yoghurt) ka istimaal karain us ki taseer thandi hotiiii agar kisi rozedar ko lage k uski halat kharab ho rahi hai garmi k bais tu woh r...

Boycott murree is a right thing or not

Aaj kal murree ka boycott buhat in hua wa hai fb pe .... loogoon k mix views hai is baare main aap loog kia kehte ho share ur experience please....Waise mai tu karachi ka rehne waala hun aur mujhe lagta hai k agar itne loog boycott k haq mai hain tu zarur muree ki awam ka rawaiya na munasib aur purtashadud hoga ... q k muree k ilawa bhi agar aap kisi bhi railway stop ya junction pe stay karte hoo tu wahan aap ko prices high hi milenge q k loog majburiyoon ka faida uthate hain musafiroo ki isi se ik waqiya yaad agaya .... ik buzurg ko apni beti ki shadi k liye paisoo ki zarurat thi un k paas sirf ik ghora mojood tha tu woh buzurg ghora lekar bazar ponch gaye aur jaldi bik jaye ghora tu thori kam keemat maangne lage ik sahab ka wahan se guzar hua unhain woh ghora pasand agaya unho ne qeemat poochi tu buzurg ne bataya 500 dinaar tu woh sahab bole k kia yeh ghora beemar hai buzurg ne kaha nahi janab nihayat tandurust aur taiz raftaar ghora hai tu sahab ne poocha tu aap itni kam qeemat m...